Anal Cancer Symptoms - Upchar ke
liye Lakshan Pehchane
HRELATE.COM
• Cancer life ko khatam kar dene wali ek khatarnak bimari hai. Iske lakshano ko pehchankar
yadi shuruwat mai hi iska illaj kar liya jaye to kai had tak isme safalta payi ja skati hai.
Cancer ke kai prakar hai, jaise aankho ka cancer, pet ka cancer aadi. Isi tarah Anal Cancer
bhi cancer ka hi ek roop hai.
• Yeh cancer anus(guda) mai hota hai. Iss bimari mai cancer ke cell, gude ke uttako mai viksit
hone lagte hai. Jab yeh asamanya rup se viksit hote hai tab ek ghatak tumer mai ka roop le
lete hai. Kai sodho mai yeh baat samne aayi hai ki saal mai takriban 950 mrityu iss cancer
ke hone ke karan hi hoti hai.
• Gude mai cancer hone par kai pareshaniya samne aati hai. Jaise guda se khun ka behna,
khujali hona, sujan aana aadi lakshan dikhai dene lagte hai. Inn samasyao ke dikhte hi
turant hi chikitsak se illaj karwana chahiye. Aaiye janiye Anal Cancer Symptoms taki
samay rehte iss bimari ka illaj karwaya ja sake.
hrelate.com
hrelate.com
Anal Cancer Symptoms: Jane Iske Lakshan, Karan aur Uchit Upchar
• Cancer ek aesi bimari hai jiske lakshan shuruwati tour mai samajh nahi aate hai. Lekin
fir bhi kuch aese lakshan bhi hote hai jo ki guda cancer ke vikas ka karan bante hai aur
ise pehchana ja sakta hai. Jaise ki adhik matra mai rakt nikalna iska ek shuruwati
lakshan hai. Aaiye jane aur bhi kai Anal Cancer Symptoms.
• Guda mai sujan rehna
• Asamanya rup se mal nikalna
• Guda ke pas gaanth ka banna aur khujlahat hona
• Malashay se rakt strav hona
• Guda mai dard aur kisi prakar ka dabav mehsus hona
• Mahilao ke pith ke nichale hisse mai hamesha dard bane rehna
• Mal tyag mai pareshani hona
• Mahilao ki yoni mai sukhapan hona
hrelate.com
Guda cancer mahilao aur purusho dono mai paya jata hai. Aur sambhog karne se yeh cancer
failta bhi hai. Shodho ke dwara yeh pata chala hai ki HIV positive wale kisi bhi vyakti ke sath
yon sambandh banane se bhi guda cancer hota hai. Yeh cancer 60 saal se adhik umra ke
purush aur 50 saal se adhik umra ki mahilao mai adhik dekha gaya hai. Anal Cancer Causes
mai aaiye jane yeh mukhya rup se vyaktiyo mai kin-kin karno se failta hai.
• HPV (Human Papilloma Virus) ke sankraman se: HPV ek prakar ka virus hota hai jo ki guda
cancer ke bahut karib hota hai. Shodho ki mane to HPV virus ki wajeh se 80 pratishat log
guda cancer se pidit hote hai.
• Ek se jyada vyaktiyo ke sath yon sambandh banane se bhi Guda cancer hota hai.
• Guda sambhog prapt karne wale mahila aur purush dono mai guda cancer hone ka khatra
hota hai.
• Mahilao ko yadi pehle se hi greeva cancer ho aur purusho ko shishna(Penile) cancer ho to
dono mai hi anal cancer hone ka khatra ban jata hai kyoki inn dono cancer mai HPV virus
paya jata hai.
• Jin vyaktiyo ki rog pratirodhak kshamta kam hoti hai unme bhi guda cancer hone ka khatra
hota hai. Sath hi aese vyakti jo ki phele se hi pratirakshadamankari dawao ka sevan kar rahe
hai aur HIV ya dir AIDS se pidit hai unn vyaktiyo ko bhi yeh cancer ho sakta hai.
hrelate.com
Yadi aap guda cancer ke inn sabhi karan aur lakshan ko samajh gaye hai to Diagnosis of Anal
Cancer mai aaiye padhe iske kuch nidan.
• Endoscopy: Guda caner ka parikshan karne ke liye doctor badi aant, guda, malashay ki jaanch
karte hai. Aur iss jaanch ke liye wo lens aur video camera ke sath ek roshan tube ka istemal
karte hai.
• Biopsy: Yeh uttako(tissue) ke namuno ko hatane ki ek surgery hoti hai jisme microscope ka
istemal kiya jata hai aur cancer ka pata lagaya jata hai.
Iske alawa Guda ka parikshan karne ke liye CT Scan, MRI Scan aur Ultra Sound Scan kiya jata
hai.
• Guda cancer ki jaanch karne ke baad yeh nirbhar karta hai ki vyakti cancer ke kiss charan se
hokar gujar raha hai tabhi uska ilaj kiya ja sakta hai. Anal Cancer Treatment mai aaiye jane
iska illaj kin-kin tariko se kiya ja sakta hai.
• Chemo Therapy: Isme cancer koshikao ki aniyantrit rup se vraddhi ko roka jata hai. Aur iske
liye dawao ka istemal kiya jata hai.
• Surgery: Iss prakriya ke dwara tumer aur sankramit uttako ko operation ki sahayta se dur kiya
jata hai. Yeh operation cancer ke prakar par nirbhar karta hai ki kiss prakar ki surgery kee jani
hai. Guda cancer ki surgery colorectal surgeon ke dwara bhi ki jati hai.
hrelate.com